*******************************************************
Param Pujya Shri Sadgurudev ji Asharam Bapuji ke shrimukhaarvind se bhakton ke prashno ka samaadhaan
*******************************************************
saadhako ke kuchh prashn yahaa padhataa hun aur un ke uttar detaa hun..is se dusare saadhako ko bhi apane apane prashnon ke karib-karib ke uttar mil jaayenge...
(Question by Neelam Dongra, gaanv: Akharota, Panjaab)
Question 1 :
Guruvar ji jab mai pooja men baithati hun to kabhi kabhi lagataa hai ki mera sharir upar uth rahaa hai....aur chhotaa ho gaya ahai...aisa kyon hota hai?
Answer :
aisa kyo hotaa hai? ye sawaal hai...
aisaa kyon naa ho?...:)
ye saadhan men animaa, garimaa, laghimaa aadi sidhdiyon ke ansh bhi bij roop men chhupe hai..
apane aashram me Disa ke ek vyaapaari samarpit huaa aur us ka baad men naam rakhaa Mahant Chandiram...vo Abu ke jungle me subah ghumane gayaa to bahot der tak aayaa nahi...jab der se aayaa to puchhaa ki kyo itani der lagi?...to bole ki , 'jungle me koyi sugandh aa rahi thi..chandan ki aisi koyi sugandh thi...to mai khojaa ki sugandh kahaa se aa rahi...
to mai shant huaa...maine kahaa ki, 'wo sugandh baahar nahi aa rahi thi....aaj tum ne shauch kiyaa hogaa...to aisi sthiti me aa gaye honge ki aisa huaa...
jin ko pratyaahaar sidhd hotaa hai to kayi devi devataao ke darshan hote hai..gandh pratyaahaar sidhd hotaa hai to kayi sugandhiyaa hoti hai..
kabhi kabhi yogi ke shauch se bhi aisi sugandh aati hai ki ohho!dekhe to kya ki jaise 'kasturi kundal base, mrig dhundhe manmaahi'...maine kahaa aise huaa...to aisa hota hai..
Hanumaan ji chhote hote jaate the, bade ho jaate the...to ye aanshik roop me vo hi bij tatv apane me bhi padaa hai..to kabhi kabhi dikhe ki hum bahot chhote ho gaye yaa bade ho gaye athavaa aakaash me ood rahe hai to is me koyi aapatti nahi hai athavaa udane kaa aagrah bhi nahi karanaa hai...apane ko to tatv me chalaa jaanaa hai..jahaa hanumaan ji itani sidhdiyaan paane ke baad bhi jahaa hanumaanji gaye, aapan sidhaa wahi ka nishaanaa rakhate hai!..wo chhote mothe galiyaare khub ghum ke jaaye is se ham sidhaa highway pakadate hai..
to aisa kyo hotaa hai? ..hota hai!..ye apane men bij roop me sanskaar pade hai aur jagrut hote hai isliye hotaa hai..
*****************
Question 2 :
Pooja karane ke baad jab mai uthati hun to mujhe sujhataa nahi hai ki mai kya kar rahi hun...aur thodi der baad pataa chalataa hai..krupayaa in baaton ka samaadhaan kare..
Answer :-
to jab chitt ke paar dashaa men anjaane me chale jaate hai , jaise gaheri nind me kuchh nahi sujhataa hai aise hi dhyaan ki koyi shunya shant awasthaa aati hai..to antakaran ko nahi sujhataa hai ..lekin nahi sujhane ki bhi tum ko sukh rahaa hai!..to 'kuchh nahi sujh rahaa' is ko jo jaanataa hai wo hi tum ho!..wahaa me vishranti ho jaaye!...kuchh nahi sujhataa hai to chintaa naa karo...usi awasthaa me pade raho...sujhanaa antkaran aur indriyon ka khel hai!..sujhane ka aadhaar jo hai, us me ekaakaar ho...
raatri ko nind aati hai to kuchh nahi samajh me aataa hai to darane ki jarurat nahi, sharir pusht hota hai.. aise hi jab jaagrut me kuchh samajh me , sujhane me nahi aaye to darane ki jarurat nahi hai; us se 'swa' ki sthiti pusht hoti hai..
ab bahen ke prashn ke saath kayiyon ke prashn ka samaadhaan huaa hogaa...huaa hai to haath upar karo!isliye saamuhik prashnottar mujhe achchhe lagate hai..
*************************
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें